Wednesday, January 4, 2012

Vo tumhara sath Yaad Aayega


Kya haseen samay tha vo jab tumhara sath mila,
Socha is waqt k pehlu ko apne sath bandh lu.                
Tanhai meri mein ye sath nibhayega.....

Anjan tha main is duniya k taur tarikon se,
Kuch pal k is sath ko, bandgi samaj baitha.
Socha na tha ye samay aise beet jayega……

Tumhari khushi mein har dum muskrata chla gya,
Apni Khawihasho ko maine kabhi btaya hi nai.
Dil k in jazbaaton ko bla kon samaj payega…

Panhon ko palto to sirf yaadein reh jati hain,
Ye yaadein hain zindagi bhar yaad aayengi.
Tumhare sath bitaya vo har lamha yad aayega...
Vo tumhara sath yaad aayega……

0 comments:

Post a Comment