Yun to zindgi khuli kitab hai meri,
Kuch unkahe swalon ka jwab, aaj b baki hai.
Kuch khaas thi vo dosti apni, jab is nadaan dil se vo galti hui,
Dil k armanon ko dbaya, har dum sirf tumhari khushi ko chaha.
Par tooti jab vo dosti humari, dil bechare ko yakin hua hi nai,
Par kya thi aakhir meri khata, ye janna aaj bhi baki hai…
Tumhare sath bitaya har ek lamha, khas ehmiyat rakhta tha,
Vo masti, vo gossip, jab dil ki baatein b aksar hoti thi share.
Choti choti baton se badta, bda vo jo vishwas bana tha,
Ek pal mein vo kaise toot gya, ye janna aaj bhi baki hai….
Yoon to maine tumhe mnane ki koshish bhi bahut ki,
Na jane vo konsi thi vajah, jo faasla har din badta gya.
Sab doston se hui bhagawat, har din mujhe bas tanhai mili,
Kyun narazgi ka dour itna lamba chala, ye janna aaj bhi baki hai….
Hazaron vo baatein hain, jo chah k bhi na keh pata hu main,
Tumhe dekh k har baar, ye dil aaj bhi bekraar hota hai.
Par har baar dil ki baat kehte kehte chup ho jata hu main,
Dil k jazbaaton ka khul kar izhaar karna, aaj bhi baki hai…
Tumhari khushi se ajab sukun mile, par udasi sahi nai jati,
Aksar ye dil b tumhari yaadon mein khoya khoya rehta hai.
Badi shiddat se chaha hai tujhe, ye baat yu hi jatayi nahi jati.
Dil mein vo beshumar pyar tumhare liye, aaj bhi baki hai….

